vo mast-e-naz aata hai zara hoshyar ho jaana
yahin dekha gaya hai be-piye sarshar ho jaana
hamara shaghl hai raton ko rona yad-dilbar men
hamari niind hai mahv-e-ḳhayal-e-yar ho jaana
lagavaT se tiri kya dil khule ma.alum hai ham ko
zara si baat men khinch kar tira talvar ho jaana
abas hai justuju bahr-e-mohabbat ke kinare ki
bas is men Duub marna hi hai ai dil paar ho jaana
nahin darkar mai ham ko piye ja tu hi ai saaqi
hamen to mast karta hai tira sarshar ho jaana
Leave a Reply