• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hijr Mein Ho Gaya Visal Ka Kya

Hijr Mein Ho Gaya Visal Ka Kya

hijr men ho gaya visal ka kya

ḳhvab hi ban gaya ḳhayal ka kya

ḳhud-numa.i pe ḳhaak Daalo tum

dekhna shakl-e-be-misal ka kya

teri furqat ke din ḳhuda kaaTe

ho rahega kabhi visal ka kya

dil ke dene men uzr kis ko hai

jaan hi de rahe hain maal ka kya

haal us ne hamara puchha hai

puchhna ab hamare haal ka kya

vasl ki iltija pe bigḌe kyuun

sun ke chup ho raho saval ka kya

daur ki ashiqi gunah nahin

dekh lete hain dekh-bhal ka kya

zulf ko kyuun jakaḌ ke bandha hai

us ne bosa liya tha gaal ka kya

aaj tum kyuun malul baiThe ho

vasl din hai mire visal ka kya

jab kaha tum se roz milta huun

hans ke kahne lage ḳhayal ka kya

qaul ke vaqt shart-e-fursat kyuun

daḳhl va.ade men ehtimal ka kya

ranj de kar jo ḳhush ho ai ‘muztar’

us ko sadma mire malal ka kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Ham-Rah Mere Ghar Pe Bhi Aafat Aai

poet

Gareban Phadte Hain dekh Khuban-E-Chaman Kyun Kar

Dinon Mein Din the Shabon Mein Shaben paDi Hui Thin

Chashm-E-Nam Kuchh Bhi Nahin Aur Sher-E-Tar Kuchh Bhi Nahin

Maulana Rumi

Az Kufr-O-Ze-Islam Barun Sahraist

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet