dil ke daman men jo sarmaya-e-afkar na tha
zindagi thi magar us ka koi me.aar na tha
jaane kyuun baat miri un ko giran-bar hui
lafz aisa to koi shamil-e-guftar na tha
kaun sunta miri kis ko main sada.en deta
aisi ghaflat thi ki ehsas bhi bedar na tha
har taraf dhuup thi phaili hui uryani ki
sar chhupane ko kahin saya-e-kirdar na tha
asman chiir ke rakh deti sadarat meri
vo to kahiye koi dushman pas-e-divar na tha
zahr ka ghunT bil-aḳhir use piina hi paḌa
baat ye thi vo zamane ka taraf-dar na tha
us ki begana-ravi se use samjha main ne
tishna-e-ḳhun-e-vafa tha karam-e-asar na tha
jis ko dekha vo haqa.eq pe tha parda Daale
a.ina-dar-e-haqiqat koi kirdar na tha
e.atibar-e-dil-e-pur-shauq bhi paida karte
kaam aane ka faqat jazba-e-isar na tha
kaam ankhon se na lete to bhala kya karte
dard pinhan the bahut par lab-e-iz.har na tha
sarfarazi miri qismat men na thi varna ‘guhar’
nok-e-neza pe pahunchna koi dushvar na tha
Leave a Reply