ai yaas mira ghar tira maskan to nahin hai
dil hai ye tamannaon ka madfan to nahin hai
kya baat hai gulzar hai kyuun barq se mahfuz
be-barg miri shaḳh-e-nasheman to nahin hai
haan dida-e-tahqiq se ai zauq-e-safar dekh
rahbar jise samjha hai vo rahzan to nahin hai
taklif asiri ki shikayat na kar ai dil
ye kunj-e-qafas kunj-e-nasheman to nahin hai
aao ki tamannaon men hai tab-e-nazara
ye dil hai mira vadi-e-aiman to nahin hai
chhu kar hi jise atish-e-dozaḳh hui ThanDi
daman ye kisi rind ka daman to nahin hai
manzur hai kuchh janch tire azm ki us ko
dar-asl zamana tira dushman to nahin hai
be-sa.i-e-amal ḳhaak hai insan ko jiina
ye razm-e-gah-e-zist hai madfan to nahin hai
sayyad ijazat ki zara dekh to aa.uun
jalta hai jo vo mera nasheman to nahin hai
dekho to raha dasht-navardi pe jo nazan
vo ‘arsh’ ravan janib-e-gulshan to nahin hai
Leave a Reply