bangal ki main sham-o-sahar dekh raha huun
har chand ki huun duur magar dekh raha huun
iflas ki maari hui makhluq sar-e-rah
be-gor-o-kafan khak-ba-sar dekh raha huun
bachchon ka tadapna vo bilakna vo sisakna
man-bap ki mayus nazar dekh raha huun
insan ke hote hue insan ka ye hashr
dekha nahin jaata hai magar dekh raha huun
rahmat ka chamakne ko hai phir nayyar-e-taban
hone ko hai is shab ki sahar dekh raha huun
khamosh nigahon men umandte hue jazbat
jazbat men tufan-e-sharar dekh raha huun
bedari-e-ehsas hai har samt numayan
be-tabi-e-arbabe-e-nazar dekh raha huun
anjam-e-sitam ab koi dekhe ki na dekhe
main saaf un ankhon se magar dekh raha huun
sayyad ne luuta tha anadil ka nasheman
sayyad ka jalte hue ghar dekh raha huun
ik tegh ki jumbish si nazar aati hai mujh ko
ik haath pas-e-parda-e-dar dekh raha huun
Leave a Reply