zindagi kya hai ek manzar hai
ret hai tishnagi hai kikar hai
aap behad hasin hain lekin
dil to yaqut ka bhi patthar hai
ek tasvir meri ankhon ki
ek tasvir men samundar hai
saya-e-atifat men rahta huun
gham tira rahaton se baḌh kar hai
aap kyuun der se khaḌe hain yahan
aa.iye paas hi mira ghar hai
kucha-e-zat men bhaTakta huun
aap ka rasta to az-bar hai
sansani ahaTon se pahle thi
ḳhauf ḳhamoshiyon ka maz.har hai
ek tasvir men jiye ham log
zindagi bhi ajiib manzar hai
main sitara-mizaj huun ‘rahil’
jagna hi mira muqaddar hai
Leave a Reply