• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya

Ek Pal Mein Zindagi Bhar Ki Udasi De Gaya

ek pal men zindagi bhar ki udasi de gaya

vo juda hote hue kuchh phuul baasi de gaya

noch kar shaḳhon ke tan se ḳhushk patton ka libas

zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya

sub.h ke taare miri pahli dua tere liye

tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya

log malbon men dabe saa.e bhi dafnane lage

zalzala ahl-e-zamin ko bad-havasi de gaya

tund jhonke ki ragon men ghol kar apna dhuan

ik diya andhi hava ko ḳhud-shanasi de gaya

le gaya ‘mohsin’ vo mujh se abr banta asman

us ke badle men zamin sadiyon ki pyasi de gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Zikr Ghairon Se Tumhaara Nahin Hoga Mujhse

Sahab Dilon Se Rah Mein Aankhen Mila Ke Dekh

Chhin Kar Wo Lazzat-E-Saut-O-Sada Le Jaega

poet

Soz-E-Gham Chiz Hai Kya Kuchh Hamein Malum to Ho

Ishq Mein Marke Bala Ke Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet