kaaba bhi hai tuuta hua but-khana hamara
yarab rahe abad ye virana hamara
batin ki tarah paak hai khum-khana hamara
kyuun kar na achhuta rahe paimana hamara
jo shama hua karti hai raushan sar-e-bazar
us shama pe girta nahin parvana hamara
saaqi tira mai-khana rahe hashr tak abad
bhar jaata hai kashkol-e-gadayana hamara
bah jaega is bazm men ik faiz ka dariya
aata hai chhalakta hua paimana hamara
chal su-e-adam chal hamen kya uzr hai ai maut
tayyar hai saman-e-gharibana hamara
ban jaata hai phir shaikh ka bhi murshid-e-kamil
dagta nahin piita hai jo paimana hamara
kis zulf ko suljhaen raqiban-e-siyah-kar
chhuta nahin is zulf ko phir shana hamara
fariyad-kunan hain kisi pazeb ke daane
tode kahin zanjir na divana hamara
kharon se ye kah do ki gul-e-tar se na uljhen
sikhe koi andaz-e-sharifana hamara
tasir na ho ‘shad’ to dena hamen ilzam
kuchh der to sun vaaiz hakimana hamara
Leave a Reply