ja basa maghrib men akhir ai makan tera makin
aah! mashriq ki pasand aai na us ko sarzamin
aa gaya aaj is sadaqat ka mire dil ko yaqin
zulmat-e-shab se ziya-e-roz-e-furqat kam nahin
”taz aghosh-e-vida’ish dagh-e-hairat chida ast
ham-chu sham-e-kushta dar-chashm-e-nigah khvabida ast”
kushta-e-uzlat huun abadi men ghabrata huun main
shahr se sauda ki shiddat men nikal jaata huun main
yad-e-ayyam-e-salaf se dil ko tadpata huun main
bahr-e-taskin teri janib daudta aata huun main
aankh ko manus hai tere dar-o-divar se
ajnabiyyat hai magar paida miri raftar se
zarra mere dil ka khurshid-ashna hone ko tha
aaina tuuta hua alam-numa hone ko tha
nakhl meri arzuon ka hara hone ko tha
aah! kya jaane koi main kya se kya hone ko thaa!
abr-e-rahmat daman-az-gulzar-e-man barchid-o-raft
andkai bar-ghuncha haae aarzu barid-o-raft
tu kahan hai ai kalim-e-zarra-e-sina-e-ilm!
thi tiri mauj-e-nafas bad-e-nashat-afza-e-ilm
ab kahan vo shauq-e-rah-paimai-e-sahra-e-ilm
tere dam se tha hamare sar men bhi sauda-e-ilm
”shor-e-laila ko ki baz-araish-e-sauda kunad
khak-e-majnun-ra ghubar-e-khatir-e-sahra kunad”
khol dega dasht-e-vahshat uqda-e-tadir ko
tod kar pahunchunga main punjab ki zanjir ko
dekhta hai dida-e-hairan tiri tasvir ko
kya tasalli ho magar girvida-e-taqrir ko
”tab-e-goyai nahin rakhta dahan tasvir ka
khamushi kahte hain jis ko hai sukhan tasvir kaa”
Leave a Reply