ḳhush huun ya dost se ḳhafa huun main
aj-kal kuchh naya naya huun main
tum pe sau jaan se fida huun main
tum jise chaho us ko chahun main
har ada par tiri fida huun main
aa.ina ban ke dekhta huun main
un ko ye aarzu are tauba
main kahun aarzu bhara huun main
ai ata kosh kar ataa.i nazar
ai ḳhata-posh be-ḳhata huun main
ibtida hi ghalat hai bismillah
apna anjam sochta huun main
ek nadan dost ki ḳhatir
dushmanon se mila hua huun main
kasmapursi hai ḳhaak hone tak
ḳhaak hote hi kimiya huun main
ishq-bazi hai zinda-dar-gori
maut se pahle mar chuka huun main
kisi surat bhi kamyab nahin
kis nirase ka mudda.a huun main
hijr men mausam-e-hujum-e-gul
aur divana ban gaya huun main
mujh ko kyuun jante ho mustaghni
nahin bando nahin ḳhuda huun main
ishq ne kar diya nikamma sa
ab tire kaam ka bana huun main
talab-e-haq hai aise ijz ke saath
jaisa ḳhairat mangta huun main
abhi sab kuchh abhi nahin kuchh bhi
ai safi’ kya bata.un kya huun main
Leave a Reply