aaya nahin vo jaur ka ḳhugar tamam raat
taḌpa kiya mira dil-e-muztar tamam raat
niind us ke husn-e-ruḳh ke tasavvur men aa.i thi
dekha hai barq-e-tur ka manzar tamam raat
ye raaz mujh pe sham.a ke anjam se khula
kaTti hai hijr-e-yar men kyunkar tamam raat
ai ham-nafas na puchh shab-e-hijr ka azaab
ankhon men kaTni paḌi akasr tamam raat
ik ham na un ki yaad men jhapka sake palak
ik vo ki mahv-e-bada-o-saghar tamam raat
vaqt-e-sahar ye jaana ki jaage hain ham magar
sota raha hamara muqaddar tamam raat
sincha hai ansuon se bahut naḳhl-e-arzu
lekin samar na aa saka ‘jauhar’ tamam raat
Leave a Reply