Gham-Ha-E-Rozgar Se Fursat Nahin Mujhe

ġham-hā-e-rozgār se fursat nahīñ mujhe

maiñ kaise kah duuñ tum se mohabbat nahīñ mujhe

apno kī sāzishoñ se hī masrūf-e-jañg huuñ

ġhairoñ se dushmanī kī zarūrat nahīñ mujhe

dil meñ abhī chubhe haiñ vo alfāz tiir se

tū ne kahā thā jab tirī chāhat nahīñ mujhe

pinhāñ haiñ kunj-e-dil meñ ka.ī dard-e-lā-davā

be-vaj.h muskurāne kī aadat nahīñ mujhe

sauġhāt-e-zaḳhm-e-dil to muqaddar kī baat hai

ai yaar tujh se koī shikāyat nahīñ mujhe

tanhā.iyoñ se mujh ko rifāqat sī ho ga.ī

‘ārif’ siyāh shab se bhī vahshat nahīñ mujhe

Leave a Comment