• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Milta Nahin Mizaj KHud Apni Ada Mein Hai

Milta Nahin Mizaj KHud Apni Ada Mein Hai

milta nahin mizaj ḳhud apni ada men hai

teri gali se aa ke saba bhi hava men hai

ai ishq teri dusri manzil bhi hai kahin

marna hai ibtida men to kya intiha men hai

laati hai jab saba to chamakte hain bam-o-dar

ye raushni si kya tiri bu-e-qaba men hai

har rahguzar nishan hai tiri samt ka magar

iqrar-e-na-rasi bhi har ik naqsh-e-pa men hai

tausif-e-husn asl men hai vasf-e-husn-e-saz

bandon se jis ko pyaar hai yad-e-ḳhuda men hai

ye tishnagi ye pas-e-vafa ye hujum-e-gham

kya karvan-e-shauq kisi karbala men hai

sun kar ki ‘hosh’ ne bhi kiya tark-e-arzu

kohram ik macha hua shahr-e-vafa men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Itna Na Ghum Raat Ko Phulon Ki Bas Mein

Husn Aankhon Mein Rahe Dil Mein Jawani to Rahe

Zindagi Ehsan Hi Se Mawara Thi Main Na Tha

poet

Namaz Kaisi Kahan Ka Roza Abhi Main Shaghl-E-Sharab Mein Hun

Ye Chand Jo Bachchon Ka Khilauna Hai Meri Dost

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet