ai mah-jabin kahan tera jalva ayaan nahin
ye sab tere nishan hain pe tera nishan nahin
kaaba men karbala men kalisa men dair men
us be-nishan ko ham ne bhi dhundha kahan nahin nahin
iqrar roz karte ho ghairon se vasl ka
sikhe ho ek mere liye jan-e-jan nahin
karta hai mera vaada-faramosh mujh ko yaad
be-vaj.h aa jaati hain ye hichkiyan nahin
minnat se puchha kya na karoge jafaen kam
saffak kis dhitai se bola ki haan nahin
shikva kuja shikayat-e-gham kiije kya majal
us ka ye hukm hai ki hilao zaban nahin
sachche tumhin sahi main bura huun bura magar
mujh sa malega baad mere mehrban nahin
vaaiz bhala hasinon ki ulfat hai kyuun haram
shayad khuda ki shaan ye husn-e-butan nahin
‘aughat’ jahan men ab dil-o-din puchhta hai kaun
ashiq ka in buton men koi qadar-dan nahin
Leave a Reply