tu meri manzil hai tera rasta main
nazan huun ho kar tujh se vabasta main
jaan ke bhi anjan bani rahti hai tu
paas kabhi aa ja.un jo ahista main
pyaar ki ḳhushbu se mahkata huun mahfil
apne aap men phulon ka guldasta main
varna kaun sune kam-zarfon ke ta.ane
majburi ke baa.is huun lab-basta main
vo jo ayaan ho kar bhi nihan hai aaj talak
apni zaat men vo raz-e-sar-basta main
narmi se pesh aata huun har ek se ‘shad’
ya.ani apne aap men huun sha.ista main
Leave a Reply