ada-o-naz men kuchh kuchh jo hosh us ne sambhala hai
to apne husn ka kya kya dilon men shor daala hai
abhi kya umr hai kya aql hai kya fahm hai lekin
abhi se dil-farebi ka lahr ik naqsha nirala hai
tabassum qahr hans dena qayamat dekhna aafat
palak dekho to nashtar hai nigah dekho to bhala hai
abhi nok-e-nigah men is qadar tezi nahin tis par
kai zakhmi kiye hain aur kai ko maar daala hai
akadna tan ke chalna dhaj banana vaza dikhlana
kabhi niima kabhi chapkan kabhi khali doshala hai
kisi ke saath kandhe par kisi ke laat siine par
kahin nafrat kahin ulfat kahin hila-havala hai
‘nazir’ aisa hi dilbar shohra-e-afaq hota hai
abhi se dekhiye fitne ne kaisa dhab nikala hai
Leave a Reply