sitam karna karam karna vafa karna jafa karna
magar jo ahd kar lena vo akhir tak vafa karna
kiya khalvat men mujh ko qatl aur mahfil men rote ho
qayamat dha ke achchha yaad hai mahshar bapa karna
bata ai husn kab tak ishq ki taqdir men akhir
ba-minnat dil diya karna ba-hasrat munh taka karna
na dil vapas na dildari ye kya sheva hai tum ko to
na aaya qarz ada karna na aaya farz ada karna
sharab-e-ishq har millat men har mazhab men jaaez hai
ye kya aafat hai ai vaaiz rava ko narava karna
nigah-e-mast-e-saqi bada-khvaron se ye kahti hai
buton ki jab nazar se gir pado yad-e-khuda karna
tumhara nam-leva mo’taqid aulad-e-midhat-gar
‘sakha’ ki mushkilen hal ya-ali mushkil-kusha karna
Leave a Reply