kabhi zarra kabhi mauj-e-ravan hai
haqiqat hai nihan garche ayaan hai
taghayyur se ibarat ye jahan hai
ibarat men taghayyur par kahan hai
zaman bhi hai safar men aur makan bhi
tasalsul men nihan isbat-e-jan hai
jahan taḳhliq o ḳhaliq ham-zaban hain
vahan har jumbish-e-lab kun-fakan hai
manazil-dar-manazil hain safar men
safar manzil hai manzil karvan hai
saba mastur hai parde men lekin
saba ka naqsh har gul par ayaan hai
mala.ik bhi jhuken labbaik kah kar
anal-haq ki fughan aisi azaan hai
farishton ke paron ko chhu ke guzre
ye naqsh-e-pa-e-ḳhaki asman hai
mire dam se maqalat-e-azal hain
mire dam se abad ki dastan hai
mira virsa junun ki abiyari
miri miras tarkib-e-fughan hai
main hast-o-bud ke bas men nahin huun
mire bas men hayat-e-javidan hai
tasavvur se harim-e-zat ‘tal.at’
kabhi atish kabhi atish-fishan hai
Leave a Reply