raz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha
kya ek bhi hamara khat yaar tak na pahuncha
allah re na-tavani jab shiddat-e-qalaq men
balin se sar uthaya divar tak na pahuncha
rote to rahm aata so us ke ru-ba-ru to
ik qatra khuun bhi chashm-e-khun-bar tak na pahuncha
ashiq se mat bayan kar qatl-e-adu ka muzhda
paigham-e-marg hai ye bimar tak na pahuncha
be-bakht rang-e-khubi kis kaam ka ki main to
tha gulvale kisi ki dastar tak na pahuncha
muft avval-e-sukhan men ashiq ne jaan de di
qasid bayan tera iqrar tak na pahuncha
thi khaar raah teri mizhgan ki yaad phir shab
ta-subh khvab chashm-e-bedar tak na pahuncha
bakht-e-rasa adu ke jo chahe so kahe ab
yak baar yaar mujh tak main yaar tak na pahuncha
ghairon se us ne hargiz chhodi na hatha-pai
jab tak ajal ka sadma do-char tak na pahuncha
‘momin’ usi ne mujh se di bartari kisi ko
jo past-fahm mere ashar tak na pahuncha
Leave a Reply