kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
phaT chali chhati koi dam men gareban yak taraf
chandni men kal nikal baiTha tha vo ḳhurshid-ru
dekhta tha main khaḌa goshe men pinhan yak taraf
turfa halat thi kabhi ham ne na dekha tha ‘huzur’
mah-e-taban yak taraf mehr-e-daraḳhshan yak taraf
Leave a Reply