nazar jhukā ke nazar se girā ga.e mujh ko
maiñ aa.ina thā haqīqat dikhā ga.e mujh ko
maiñ be-gunāhī kā apnī subūt kyā detā
vo saarī ġhalatiyāñ merī ginā ga.e mujh ko
bichhaḌte vaqt añgūThī ko de ga.e vāpas
vo jaate jaate bhī kitnā rulā ga.e mujh ko
sitam kiye hai mire saath is qadar ‘āqib’
maiñ mom thā vo to patthar banā ga.e mujh ko