nadim-e-dard-e-mohabbat baḌa sahara hai
jabhi to ye gham-e-dauran hamen gavara hai
zamana kahta hai hangama-e-hayat jise
mire hujum-e-tamanna ka isti.ara hai
jo mere dil ko hai atish-kada bana.e hue
vo soz un ki nazar ka hi ashkara hai
akela chhoḌ ke tufan ko guzar jaa.e
ye be-ruḳhi miri kashti ko kab gavara hai
na jaane mauj-e-tabassum hai ya koi aansu
phir un ke honT pe betab ik sitara hai
majal-e-ishq kahan thi ki ham ko karta ḳhaak
hamen to ziist ki pamaliyon ne maara hai
vafa-e-dost ki masti nasib hai ‘saghar’
jafa-e-dahr faqat is liye gavara hai
Leave a Reply