kya kahun tum se main yaaro kaun huun
huun sarapa qais-e-sahra-e-junun
chashm-e-khun-afshan miri ro den agar
dasht ho jaave abhi dariya-e-khun
daar par rakkhen mujhen mansur-var
faash kar duun main agar raz-e-darun
ishq hai ganjina-e-asrar-e-haq
pa nahin sakti ise aql-e-zabun
kaun kar sakta hai mujh divana kaun
qaid juz zanjir-o-zulf-e-pur-fusun
ru-ba-ru mastan jam-e-ishq ke
diin kya hai aur kya duniya-e-dun
ab to ‘asim’ ishq-e-khadim-shah men
huun sarapa qais-e-sahra-e-junun
Leave a Reply