• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Main Saz dhundti Rahi

Main Saz dhundti Rahi

ada-jafarey

ehsas-e-avvalin

ek mauhum iztirab sa hai

ik talatum sa pech-o-tab sa hai

umde aate hain khud-ba-khud aansu

dil pe qaabu na aankh par qaabu

dil men ik dard mitha mitha sa

rang chehre ka phika phika sa

zulf bikhri hui pareshan-hal

aap hi aap ji hua hai nidhal

siine men ik chubhan si hoti hai

ankhon men kyuun jalan si hoti hai

sar men pinhan tasavvur-e-mauhum

haae ye arzu-e-na-malum

ek naala sa hai baghair avaz

ek halchal si hai na soz na saaz

kyuun ye halat hai be-qarari ki

saans bhi khul ke aa nahin sakti

ruuh men intishar sa kya hai

dil ko ye intizar sa kya hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet, Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

mirza-ghalib

Gai Wo Baat Ki Ho Guftugu To Kyunkar Ho

adeem-hashmi

Kuchh Hijr Ke Mausam Ne Sataya Nahin Itna

Aap Yakta Hue Maza Na Hua

poet

Main Apne Waqt Mein Apni Rida Mein Rahta Hun

Farogh-E-Husn Mein Kya Be-Sabaat Dil Ka Wajud

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet