hijr-e-janan men ji se jaana hai
bas yahi maut ka bahana hai
kyuun na barsaen ashk dida-e-tar
atish-e-ishq ka bujhana hai
ho adu jis pe kijiye ehsan
kuchh ajab tarah ka zamana hai
yaad dilva ke dastan-e-visal
ashiq-e-zar ko rulana hai
rakh dila roz-o-shab umid-e-visal
ranj-e-furqat agar bhulana hai
jaan jaati hai jis jagah sab ki
usi kuche men apna jaana hai
koi dam men adam ko huun raahi
aa agar tujh ko ab bhi aana hai
khak-sari na chhodna ‘raana’
ek din khaak hi men jaana hai
Leave a Reply