taskin de sakenge na jam-o-subu mujhe
bechain kar rahi hai tiri aarzu mujhe
mujh se talash-e-rah ki dushvariyan na puchh
bhaTka raha hai zauq-e-safar char-su mujhe
bazm-e-asar-fareb ki tabdiliyan to dekh
maghmum aa rahe hain nazar ḳhub-ru mujhe
teri nazar na jaan saki mere dil ka haal
kya mutma.in karegi tiri guftugu mujhe
ai ‘naqsh’ iztirab-e-dil-o-jan ko kya karun
barbad kar raha hai gham-e-arzu mujhe
Leave a Reply