main hare mausamon men jalta raha
ḳhushbuon se dhuan nikalta raha
aag par honT rakh diye the kabhi
aḳhiri saans tak pighalta raha
main akela bhi karvan ki tarah
raston ke baghair chalta raha
hadse mujh ko pesh aate rahe
aur zamane ka ji bahalta raha
meri avaz munharif na hui
vaqt ka faisla badalta raha
zindagi mujh ko qatl karti rahi
maut ki vadiyon men palta raha
karobar-e-suḳhan kiya main ne
ya ‘muzaffar’ lahu ugalta raha
Leave a Reply