dil sang nahin hai ki sitamgar na bhar aata
karte na agar zabt to munh tak jigar aata
tu fatiha-ḳhvani ko agar qabr par aata
marne se mire ghair ka matlab na bar aata
ai qais agar dasht men tu raah par aata
sau baar tujhe naqa-e-laila nazar aata
taḳhsis na thi tuur ki ai hazrat-e-musa
har sang men vo nur-e-tajalli nazar aata
hoti chaman-ara-e-azal ki jo mashiyyat
apne shajar-e-ishq ka vaqt-e-samar aata
be-kar na kar raat basar muntazari men
aana use hota to vo ab tak ‘asar’ aata
Leave a Reply