ham ko us shokh ne kal dar talak aane na diya
dar-o-divar ko bhi haal sunane na diya
parda-e-chashm men har dam to chhupae aansu
be-qarari ne mujhe raaz chhupane na diya
mujh ko aluda rakha is miri gumrahi ne
araq-e-sharm-e-gunah bhi to bahane na diya
tere kahne se main ab laun kahan se naseh
sabr jab is dil-e-muztar ko khuda ne na diya
mana hai bas ki khur-o-khvab hamen gham men tere
mar ke sone na diya zahr bhi khane na diya
huun sitamgar main jafaon se tiri sharminda
na-tavani ne mujhe sar bhi uthane na diya
dam ka aana to badi baat hai lab par ‘arif’
zoaf ne harf-e-shikayat kabhi aane na diya
Leave a Reply