saath ho koi to kuchh taskin si paata huun main
tere aage ja ke tanha aur ghabrata huun main
samne aate hi un ke chup sa ho jaata huun main
jaise ḳhud apni tamannaon se sharmata huun main
ik musalsal zabt hi ka naam shayad ishq hai
ab to nazron tak ko ankhon hi men pi jaata huun main
dekh sakte kaash tum meri tamannaon ka jashn
jab unhen jhuTi ummiden de ke bahlata huun
mere pairon ko hai kuchh rondi hui rahon se bair
jis taraf koi nahin jaata udhar jaata huun main
ik nigah-e-lutf aate hi vahi hai hal-e-dil
sab purane tajrabon ko bhuul sa jaata huun main
ye mire ashk-e-musalsal bas musalsal ashk hain
kaun kahta hai tumhara naam dohrata huun main
sham-e-gham kya kya tasavvur ki hain chira-dastiyan
haan tumhen bhi tum se bin puchhe uTha laata huun main
karobar-e-ishq men duniya ki jhuTi maslahat
mujh ko samjhate hain vo aur dil ko samjhata huun main
saath tere zindagi ka vo tasavvur men safar
jaise phulon par qadam rakhta chala jaata huun main
ranj-e-insan ki haqiqat men to samjha huun yahi
aaj duniya men mohabbat ki kami paata huun main
mere aansu men ḳhushbu mere har naale men raag
ab to har ik saans men shamil tumhen paata huun main
ab tamanna be-sada hai ab nigahen be-payam
zindagi ik farz hai jiita chala jaata huun main
haa.e ‘mulla’ kab mili ḳhamoshi-e-ulfat ki daad
koi ab kahta hai kuchh un se to yaad aata huun main
Leave a Reply