mire vajud ka mehvar chamakta rahta hai
isi sanad se muqaddar chamakta rahta hai
kisi mazar pe chha.i hai ḳhaak muflis ki
kisi mazar ka patthar chamakta rahta hai
ye kaisi rasm-e-halakat bhi pa ga.i hai rivaj
ye kaise ḳhuun ka manzar chamakta rahta hai
miri nigah ko manzil ki raushni hai aziiz
bala se mel ka patthar chamakta rahta hai
jo uTh ke ḳhaak se parvaz ka ujala bana
usi parinde ka shahpar chamakta rahta hai
miTa ke hausle batil ke aao su-e-haq
qadam baḌhao ki rahbar chamakta rahta hai
nujum shams qamar aur jalne lagte hain
suḳhan-varon men jab ‘az.har’ chamakta rahta hai
Leave a Reply