yuun hirasan hain musafir bastiyon ke darmiyan
ho ga.i ho shaam jaise jangalon ke darmiyan
zindagi se ab yahi do-char pal ka saath hai
paniyon se aa gaya huun daldalon ke darmiyan
chaar janib phailte hi ja rahe hain regzar
tishnagi hi tishnagi hai ḳhvahishon ke darmiyan
dekhte hi dekhte aapas men dushman ho ga.e
ḳhuun ka dariya ravan hai bha.iyon ke darmiyan
ab to is ki zad men hai saara nagar aaya hua
vo bhi din the sail tha jab sahilon ke darmiyan
adh-khuli ankhen hain ‘ḳhavar’ aur sanson ka azaab
laash ki surat paḌa huun kargason ke darmiyan
Leave a Reply