hamari aankh ne dekhe hain aise manzar bhi
gulon ki shaḳh se laTke hue the ḳhanjar bhi
yahan vahan ke andheron ka kya karen matam
ki is se baḌh ke andhere hain dil ke andar bhi
abhi se haath mahakne lage hain kyuun mere
abhi to dekha nahin hai badan ko chhu kar bhi
kise talash karen ab nagar nagar logo
javab dete nahin hain bhare hue ghar bhi
hamari tishna-labi par na koi buund giri
ghaTa.en ja chukin charon taraf baras kar bhi
ye ḳhuun rang-e-chaman men badal bhi sakta hai
zara Thahar ki badal ja.enge ye manzar bhi
‘ali’ abhi to bahut si hain an-kahi baten
ki na-tamam ghazal hai tamam ho kar bhi
Leave a Reply