har lamha ata karta hai paimana sa ik shaḳhs
ankhon men liye baiTha hai mai-ḳhana sa ik shaḳhs
aur is ke siva anjuman-e-naz men kya hai
hai sham.a sa ik shaḳhs to parvana sa ik shaḳhs
ḳhamosh nigahon men qayamat ka asar tha
guzra hai sunata hua afsana sa ik shaḳhs
ik husn-e-mukammal hai to ik ishq-sarapa
hoshyar sa ik shaḳhs hai divana sa ik shaḳhs
ham jalva-e-asnam se bezar hain lekin
milta hai vahan ruh-e-sanam-ḳhana sa ik shaḳhs
Leave a Reply