zindagi yuun to guzar jaati hai aram ke saath
kashmakash si hai magar gardish-e-ayyam ke saath
rif.aten dekhti rah jaati hain us ki parvaz
vo tasavvur ki hai vabasta tire naam ke saath
mil hi ja.egi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
dam-e-hasti hai ḳhush-a.ind bhi dilkash bhi magar
uḌte jaate hain giraftar usi daam ke saath
jab kisi lamha-e-dauran ko TaTola ham ne
ru-e-aghaz nazar aaya hai anjam ke saath
un rivayat ko dohrate hain ham az-sar-e-nau
vo jo mansub hain sadiyon se tire naam ke saath
harf aa.e na ‘tamanna.i’ kahin saaqi par
aaj mahfil men chale aa.e hain ham jaam ke saath
Leave a Reply