main khud ko is liye manzar pe laane vaala nahin
ki aaina miri surat dikhane vaala nahin
tire falak ka agar chand bujh gaya hai to kya
diya zamin pe bhi koi jalane vaala nahin
samundaron ki taraf ja raha huun jalta hua
ki meri aag ko badal bujhane vaala nahin
ye kaun niind men aakar sirhane baith gaya
main apna khvab kisi ko batane vaala nahin
ab is qadar bhi takalluf se mil rahe ho kyuun
tumhare saath to rishta zamane vaala nahin
kamar kaman hui ja rahi yuun ‘gauhar’
main jaise khud ko dobara uthane vaala nahin
Leave a Reply