• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Nazr-E-Watan

Nazr-E-Watan

akhtar-shirani

nazr-e-vatan phir ai dil divana chahiye

phir har qadam pe sajda-e-shukrana chahiye

phir sar-zamin vatan ki hai nazron ke samne

phir lab pe ek nara-e-mastana chahiye

bachpan ki yaad leti hai phir dil men chutkiyan

phir be-khudi ba-hujjat-e-tiflana chahiye

barson ke baad aae hain bagh-e-vatan men ham

phir har kali ko sajda-e-mastana chahiye

kohsar sabz-posh nazar aae duur se

phir lab pe chaar bait ka afsana chahiye

jis kuche men huiin kabhi rusvaiyan nasib

us ka tavaf ba-dil-e-divana chahiye

bakhsha tha jis ne pahle-pahal dil ko dard-e-ishq

phir us ke dar pe sajda-e-shukrana chahiye

phir dil ko ho yaqin na kisi ke visal ka

phir vaqia ba-surat-e-afsana chahiye

phir shauq se milenge kisi gul-ezar se

phir lab pe shor-e-bulbul-e-mastana chahiye

jhula jhulaenge kisi mast-e-shabab ko

raqsan faza men phir mai-o-mai-khana chahiye

paae talab ko vadi-e-parvin hai nim-gam

phir aarzu ko manzil-e-janana chahiye

phir khirman sukun ko hain darkar bijliyan

phir be-hijab jalva-e-janana chahiye

phir zauq-e-mai-kashi ko hai mearaj ki talab

kausar ka baada chand ka paimana chahiye

phir shauq ban ke dil men dhadakti hai zindagi

phir jumbish-e-tabassum-e-janana chahiye

phir sina-e-umid men raqsan hai barq-e-tur

phir pursish mazaq kalimana chahiye

bala-e-koh saya-e-abr-e-bahar men

parvin-o-mahtab ka kashana chahiye

phir us harim-e-nur ke aghosh-e-naz men

ik gul-kada ba-rang-e-pari-khana chahiye

phir abr-o-bagh-o-nikhat-o-gul ke hujum men

shama o sarv o bada-o-paimana chahiye

phir us ki chashm-e-mast pe gesu hon pur-fishan

phir abr-e-sham-gun sar-e-mai-khana chahiye

phir chandni men daman-e-dariya ye ai nadim

raqs-e-sharab-o-gardish-e-paimana chahiye

josh-e-tarab ne hashr sa dil men kiya bapa

phir be-khudi ko girya-e-mastana chahiye

‘akhtar’ vatan men aa ke khula hai ye husn-e-raz

is mukhtasar si umr men kya kya na chahiye

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Main Dariya Hun Magar Donon Taraf Sahil Hai Tanhai

Ji Raha Hun Thik Bhi Hun Aap Ki Hi Main Bala Se

Nazar Nazar Be-Qarar Si Hai Nafas Nafas Mein Sharar Sa Hai

Dar Mujhe Bhi Lagta Hai Kam-Nazar Zamane Se

meer-mehdi-majrooh

Gareban Chaak Hain Gul Bostan Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet