zindagi jiine ka yuun ham ne sahara kar liya
un ka har tir-e-sitam hans kar gavara kar liya
zehn men mahfuz hain jalve abhi us shoḳh ke
dil pareshan jab hua un ka nazara kar liya
doston men koi bhi mera nahin tha ham-ḳhayal
is liye ahbab se main ne kinara kar liya
ek patthar dil se Takra.e to ye lagne laga
ham ne ḳhud apne jigar ko para-para kar liya
dekhne vaale bahut the koi samjha hi nahin
ankhon hi ankhon men us ne khel saara kar liya
jo muqaddar men nahin tha us ko paane ke liye
is qadar uljhe ke ḳhud apna ḳhasara kar liya
ham faqiron ko nahin kuchh tar-nivalon se gharaz
rukhi sukhi kha ke bhi apna guzara kar liya
us ne taqriron se apni nafraten phaila.in thiin
sha.iri se ham ne qaa.em bha.i-chara kar liya
zindagi bhar saath ab us ka nibhana hai tumhen
jis ne apne naam ‘rahbar’ gham tumhara kar liya
Leave a Reply