ab is se baḌh ke kya nakamiyan hongi muqaddar men
main jab pahuncha to koi bhi na tha maidan-e-mahshar men
ilahi nahr-e-rahmat bah rahi hai is men Dalva de
gunahgaron ke isyan bandh kar daman-e-mahshar men
khule gesu to didar-e-ḳhuda bhi ho gaya mushkil
qayamat ka andhera chha gaya maidan-e-mahshar men
sharik-e-kasrat-e-maḳhluq tu kyuun ho gaya yarab
tiri vahdat ka parda kya hua maidan-e-mahshar men
qayamat to hamari thi ham aapas men nibat lete
koi puchhe ḳhuda kyuun aa gaya maidan-e-mahshar men
kisi ka abla-pa qabr se ye puchhta uTTha
kahin thoḌe bahut kanTe bhi hain maidan-e-mahshar men
ilahi dard ke qisse bahut hain vaqt thoḌa hai
shab-e-furqat ka daman bandh de daman-e-mahshar men
na uThte kushtagan-e-naz hargiz apni turbat se
tiri avaz shamil ho ga.i thi sur-e-mahshar men
tah-e-madfan mujhe rahte zamana ho gaya ‘muztar’
kuchh aisi niind soya huun ki ab jagunga mahshar men
Leave a Reply