jab yaar dekha nain bhar dil ki gai chinta utar
aisa nahin koi ajab rakhe use samjhae kar
jab aankh se ojhal bhya tadpan laga mera jiya
haqqa ilahi kya kiya aansu chale bhar laay kar
tu to hamara yaar hai tujh par hamara pyaar hai
tujh dosti bisyar hai ek shab mili tum aay kar
jaana talab teri karun digar talab kis ki karun
teri jo chinta dil dharun ek din milo tum aay kar
meri jo man tum ne liya tum ne utha gham ko diya
tum ne mujhe aisa kiya jaisa patanga aag par
‘khusrav’ kahae batan ghazab dil men na laave kuchh ajab
qudrat khuda ki hai ajab jab jiv diya gul laay kar
Leave a Reply