har tar-e-nafas ḳhaar hai ma.alum nahin kyuun
asan bhi dushvar hai ma.alum nahin kyuun
sau baar marun aur jiyun tab unhen pa.un
dil is pe bhi tayyar hai ma.alum nahin kyuun
sau tarah ke aram mayassar sahi lekin
dil jiine se bezar hai ma.alum nahin kyuun
jo lazzati-e-jaur-o-jafa tha usi dil par
ik shoḳh-nazar baar hai ma.alum nahin kyuun
ik baar mili un se nazar pi nahin koi
phir bahki si raftar hai ma.alum nahin kyuun
sau jaan se ham jis pe fida hote hain din-rat
vo darpai-e-azar hai ma.alum nahin kyuun
‘jami’ vo muḳhatab hain magar arz-e-tamanna
phir bhi mujhe dushvar hai ma.alum nahin kyuun
Leave a Reply