ḳhud apni aag men saare charagh jalte hain
ye kis hava se hamare charagh jalte hain
jahan utarta hai vo mahtab paani men
vahin kinare kinare charagh jalte hain
tamam raushni suraj se musta.ar nahin
kahin kahin to hamare charagh jalte hain
tumhara aks hai ya aftab ka partav
ye ḳhal-o-ḳhad hain ki pyare charagh jalte hain
ajiib raat utari ga.i mohabbat par
hamari ankhen tumhare charagh jalte hain
miri nigah se raushan nigar-ḳhana-e-husn
mire lahu ke sahare charagh jalte hain
na jaane kaun si manzil hai muntazir ‘azar’
ki rahguzar men sitare charagh jalte hain
Leave a Reply