chahat ki lau ko maddham kar deta hai
Dar jaata hai milna kam kar deta hai
jaldi achchhe ho jaane ka jazba bhi
zaḳhmon ko vaqf-e-marham kar deta hai
maut to phir bhi apne vaqt pe aati hai
maut ka aadha kaam to gham kar deta hai
sau ghazlen hoti hain aur mar jaati hain
ik misra.a tariḳh raqam kar deta hai
dil men aise dukh ne Dera Daala hai
aisa dukh jo ankhen nam kar deta hai
sabr ka daman hathon se mat jaane do
sabr dilon ki vahshat kam kar deta hai
Leave a Reply