hayat ko tiri dushvar kis tarah karta
main tujh se pyaar ka iz.har kis tarah karta
tha meri saut pe pahra ”ana-sipahi” ka
main apni haar ka iqrar kis tarah karta
use tha pyaar se baḌh kar ḳhayal duniya ka
ye jaan kar bhi main israr kis tarah karta
tira vajud gavahi hai mere hone ki
main apni zaat se inkar kis tarah karta
mujhe ḳhabar thi tujhe dukh milenge badle men
qubul phir main tira pyaar kis tarah karta
tha ham-safar bhi safar bhi jo meri manzil bhi
usi ko raah ki divar kis tarah karta
jo ḳhud ko bechne baiTha tha kauḌiyon ke evaz
main us ko apna ḳharidar kis tarah karta
Leave a Reply