sach chhupati rahi hava ya.ani
dasht ka haal aur tha ya.ani
bandishen ruh-o-jism par ḳhush hon
qaid men bhi hai ik maza ya.ani
gar ḳhuda ban nahin hai kuchh bhi yahan
hai ḳhuda ka bhi ik ḳhuda ya.ani
loriyan subkiyan men badli hain
koi sach-much men so gaya ya.ani
ishq ki ruuh kaanp uTThi hai
jism ne jism chhu liya ya.ani
Leave a Reply