• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Jaur Ahl-E-Aza Par Mazid Karte Rahe

Ye Jaur Ahl-E-Aza Par Mazid Karte Rahe

ye jaur ahl-e-aza par mazid karte rahe

sitam-shi.ar moharram men iid karte rahe

hamare dam se raha daur-e-bada-paima.i

ki apne ḳhuun se ham mai kashid karte rahe

gila to ye hai ki jitne amir-e-shahr hue

gharib-e-shahr ko sab na-ummid karte rahe

kiya hai ham ne hamesha hi karobar-e-ziyan

ki sasta bech ke mahnga ḳharid karte rahe

kisi se shahr-e-ḳhamoshan men kahte sunte kya

ham apne aap se guft-o-shunid karte rahe

vo zer-e-ḳhanjar-e-qatil na tha gulu koi

vo ik ḳhayal tha jis ko shahid karte rahe

mira kalam to kya naqdin-e-fan ‘mohsin’

kalam-e-haq men bhi qata-o-burid karte rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kuchh Is Ke Siwa KHwahish-E-Sada Nahin Rakhte

poet

Us shoKH Se Kya Kijiye Izhaar-E-Tamanna

Mil Gaya Jab Wo Nagin Phir KHubi-E-Taqdir Se

Aarzu Jurm Hai Muddaa Jurm Hai

Hone Se Mere Farq Hi paDta Tha Bhala Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet