Gulu-E-Yazdan Mein Nok-E-Sinan Bhi TuTi Hai

gulū-e-yazdāñ meñ nok-e-sināñ bhī TuuTī hai

kashākash-e-dil-e-paiġham-barāñ bhī TuuTī hai

sarāb hai ki haqīqat nazāra ki fareb

yaqīñ bhī TuuTā hai tarz-e-gumāñ bhī TuuTī hai

siyāsat-e-dil-ā.īna chuur chuur to thī

siyāsat-e-dil-e-āhan-garāñ bhī TuuTī hai

añdherī raat kā ye nīm-bāz sannāTā

guloñ kī saañs rag-e-gulsitāñ bhī TuuTī hai

tumhāre jism kā sūraj jahāñ jahāñ TuuTā

vahīñ vahīñ mirī zanjīr-e-jāñ bhī TuuTī hai

kahāñ haiñ ālam-e-imkāñ vajūd meñ aa.eñ

nazar nazar hī rahī hai jahāñ bhī TuuTī hai

shikast-o-reḳht zamāne kī ḳhuub hai ‘maḳhdūm’

ḳhudī to TuuTī thī ḳhū-e-butāñ bhī TuuTī hai

Leave a Comment