ra.egan auqat kho kar haif khana hai abas
ḳhub-ruyon se jahan ke dil lagana hai abas
kargar hoga tira afsun ye bavar hai tujhe
us pari par ai dil-e-vahshi divana hai abas
jiite phir aane ki pahle rakh tavaqqo dil se duur
varna kuche men sitam-garon ke jaana hai abas
ḳhaak ho kar ek surat hai gada-o-shah ki
gar muafiq tujh se ai mun.im zamana hai abas
yaad kis ko rahm ji men kab dimagh-o-dil kahan
yaan na aane ka mire sahab bahana hai abas
dil-shikan hai sub.h-dam tera hi gulchin baagh men
ashiyan ai andalib us ja banana hai abas
ai gul-e-ḳhandan sabat-e-umr hai shabnam se kam
yaan bahar-e-rang par hansna hansana hai abas
vaan phire hain tarkash-e-mizhgan talash-e-said par
yaan tira dil tir-e-hasrat ka nishana hai abas
aabru kahte hain jis ko hai ‘muhib’ ik qatra aab
jab Dhalak jaave to phir us ka uThana hai abas
Leave a Reply