kis kafir-e-be-mehar se dil apna laga hai
jis men ki mohabbat na muravvat na vafa hai
be-kar kabhu raat ko bhi main nahin rahta
juun shama mujhe ta-ba-sahar mashq-e-fana hai
kya vaza bayan kijiye us shokh ki apne
ladne ko qayamat hai jhagadne ko bala hai
kya qahr hai ham dekh ke khush hote hain jis ko
so us ki ye surat hai ki surat se khafa hai
juun juun nahin dekhe hai ‘nisar’ apne sanam ko
tuun tuun yahi kahta hai khuda janiye kya hai
Leave a Reply