badan pe apne sarapa azaab pahne hue
phir aaj nikla hai sahra sarab pahne hue
har ek shaḳhs ki nazron ko kar gaya uryan
ye kaun guzra yahan se naqab pahne hue
hamare jism ki divar gir na jaa.e kahin
tumhare hijr ka mausam hai aab pahne hue
chaman se ḳhushbu nikal kar hava se puchhti hai
kisi ko dekha hai tum ne gulab pahne hue
hamare takiye pe kal niind sar paTakti rahi
hamari aankh thi ek aisa ḳhvab pahne hue
kisi ne hindavi to reḳhta kisi ne kaha
zaban-e-urdu hai kya kya ḳhitab pahne hue
koi bhi sinf-e-suḳhan is tarah nahin ‘dilbar’
ghazal hi tanha hai har ik nisab pahne hue
Leave a Reply